last modified: Friday 24 March 2017

free hindi support

Google ad-words keyword planner se post seo ke liye Keyword research kaise kare

    1 comment:

hello blogger aaj mai aapki is artical me keyword research ke bare me bataunga .dosto search engine optimized content hamare blog  ya website ke liiye bahut jaroori hai kyuki agar aapka post content  seo friendly hoga to aapke blog par jayada se jayada visitor aayenge.
keyword research kaise kare adword keyword planner se seo ke liye

to uske liye sabse jaroori hai keyword .ye ek aisa seo technique hai jisse aap apne website ki search ranking increase kar sakte hai.aur apne blog ko acche mukam par la sakte hai .

uske liye aapko keyword research ki jaroorat hogi .uske liye google adword keyword planner sabse best hai aur ye bilkul free hai.ye jo seo tools hai wo ek google ki hi service hai

keyword research kyun jaroori hai ?

keyword research hamare blog post ke liye bahut jaroori hai.kyuki jab bhi aap koi new post likhte hai to aap yahi chahynge   ki hamare content ki search raking high ho jisse hamare likhe huye content ko jayada se jayada log read kare jise hamare blog ki visitor increase ho.

 to uske liye hame kuch aise top ranking keywords ko implement karne ki jaroorat hoti hai jo jayada search me aati ho jaise ham search term kahte hai research kiye huye search terms ya phrase  ko  yani keyword ko ham content me dalte hai.

ye search terms ka matlab hota hai waise word jo google me serach kiya jata ho.



jab koi search engine me hamare blog content me dale huye search terms se related koi search karta hai to hamare blog post ko search result me aane ke chancess badh jate hai .

keyword research kaise kare google keyword planner se.


keyword research  karne ke liye google adword keyword planner sabse best hai .ye ek google ki hi service hai jaisa ki maine upar bataya hai.aap is tools ki use karke apne blogger post ke liye top ranking keyword search kar sakte hai jo aapke blog ya website ko acchisearch ranking dilayega.


agar aap keyword planner tools ko use karna chahte hai to uske liye aapka google adword par account hona jaroori hai.agar apke pas acount nahi hai to ise banana bahut hi aasan hai.


aapke pas ek gmail id  ya gmail account hona chahiye .bas aap google me 'google adword "search kare .uske bad new page me aap apna email id aur password dal ke login kare.jaisa mere screen shot me dekh sakte hai.


ab next option me aayiye dekhe ki keyword planner ko kaise use karte hai .aur is tools ki madad se ham keyword research kaise karte hai.

step:1-




sabse pahle aap adword keyword planer ki site par jakar .sign in button par clik kare.uske bad aapna email id and password dal kar login kare.


step:2-



login karne ke bad new page me aap apne keyword planner compagnion  option me .top par tools par clik kare.uske bad drop down menu me se " keyword planner"option par clik kare .


step:3-


keyword planner par clik karne ke bad new page par aapko kuch option show honge.jaisa ki aap  niche mere screenshot me dekh sakte hai

keyword planner option


us option me se "search for new keyword using a pharase,website or category" par click kare.is option par clik karte hi ek new page me aur option aayenge.



keyword research tools
for example,flower or used car:-is option me aap pane post ke title ko enter kare.matlab aap apne keyword enter kare.



for example man lijiye aap keyword research ke bare me post likh rahe hai.to is option me keyword research enter kare.sirf"keyword "inter nahi kare kyuki ye ye bahut hi short hai .

aapko iss keyword se related keyword show honge .jo mai aapko next step me aapko bataunga.


country:- is option me aapko apne country inter karna hai .matlab jo keyword aapne upar ki option me inter kiya hai uska kis countery me kitne log search karte hai.


language:-- isme aap apne language set kar sakte hai ki.is keyword ko kitne language me search kiya jata hai aur kitne log search karte hai.


generly log google ya koi bhi search engine me apne qustion ko search karne ke liye english language hi use karte hai.mager kuch log hai jo apni bhasha me dekhna chahta hai.


search engine:--is option ko select karke aap pata kar sakte hao jo maine keyword upar box me enter kiya hai.ya jis topic par aap post likh rahe hai uski monthly search kitna hai google,bing,yahoo,par 

jaise google par kitna search hote hai ,bing par kitna search hote hai,yahoo par kitna hote hai.





keyword option:-is option me aap ,jaisa ki aap upar ki screenshot me dekh sakte hai "show brodly related related idea"par click kare.ya keyword option me aap kahi bhi clik kar sakte hai.
keyword option ke bare me


clik karte hi ek pop khulega jaisa ki upar mere screen shot me dekh sakte hai jis par red tic hai use on ya off karke save kar de.


agar aap chahte hai ki jo keyword maine upar wale box me inter kiya hai usse clsely related idea hame mile to aap is option ko on kar ke save kar de.

agar aap chahte hai ki brodly related idea hame mile ,matlab  usse milta julta idea hame mile to ise on hi rahne de.

Get idea:-ab last me sari setting karne ke bad get idea ki button par clik kar de.

step:4-

get idea ki button par clik karte hi aapke pas two  option honge ad-group idea aur dusra hoga keyword idea .
to aapko keyword idea select karni hai.

Ad-group idea:-is option se bhi aap post ke liye keyword select kar sakte ho .
is option me kuch aise keyword honge jo usi name se related honge.ye option advertiser  ke liye hota hai.


Keyword idea:--chuki aapko apne blogger post ke liye keyword research karna hai .to aapke liye keyword idea button par clik kare .sare blogger isi option ko select karte hai keyword search karne ke liye.


step:5-


Get idea ki button par clik karte hi niche aapko apne topic se related kuch best keword show honge jisse aap blog post ke content me use kar sakte hai.


aap aise keyword ko select kare jiska search volume jayada ho aur jiski compition  low ho jaisa maine niche maine screen shot me dikhaya red  mark ke through


mai suggest karunga ki aap apne post content me long tail keyword ko ho select kare kyuki long tail keyword hamare blohg post ke liye accha hota hai aur aur iise hamare jo content hota hai wo jayada seo friendly ho jata hai.

long tail keyword researched


to upar  hamne jo keyword research kiya hai usme se three ya four long tail keyword  phrase select kar le apne blog post ke topic se related aur jab aap post ko likhna suru kare to inme insert karte jaye.is triks se ye hoga ki jab aapke post keyword se related koi bhi search karega to aapka post bhi search me aane ke chances badh jayenge.

to dosto ye tha mera aaj ka aartical jisme maine bataya ki keyword research kaise kare google adword keyword planner se.

keyword hamare post content ko search engine friendly banane ke liye jaroori hai.
last me mai yahi kahunga ki aapko agar  mera ye post pasand aaya ho to apne dosto ko share jaroor kare.ya aapki koi sujhav  ya koi problom ho to aap hamare comment box me puch sakte hai.

aapko ye post bhi padhni chahiye:-



free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

1 comments:

Write comments
Aasha
AUTHOR
11 May 2017 at 23:16 delete This comment has been removed by a blog administrator.
avatar