last modified: Wednesday 8 March 2017

free hindi support

GOOGLE SEARCH CONSOLE ME APNE WEBSITE/BLOG KO KAISE ADD KARE


hello blogger,aaj ham janange ki ham google search console me website ya blog  ko kaise add/submit kare?.agar aapka koi blog ya website hai to aap hamesa yahi chahenge ki hamare blog par jayada se jyada visitor ho. to uske liye ham  seo karte hai apne blog ka jisse hamare blog  search engine me dikhaye de uske liye ham bahut sare seo tools use karte hai .google search console usi trah ki ek tools hai jisme ham apne website ya blog ko add karte hai.isse pahle ham webmaster tools ke name se jante the but ab iska name change ho gaya hai.


google search console me website ko kaise add kare

google search console kya hai?

search console ek google ki hi service hai jo bilkul free hota hai.ye ek trah ka website ko manage karne ka tools hota hai.jaisa maine upar bataya hai ki ise ham pahle webmaster tools ke name se jante the.ye google ne hame isliye diya hai kyuki jo website ya blog ham banate hai blogger par use ham manage kar sake aur ye apne blog ke seo ke liye bhi jaroori hai.
also read:-



agar aapka koi website ya blog hai to aapko apni wesite ko search console me submit karna jaroori hai.iske jariye hame pata chalta hai ki hamare blog me kya problem hai. agar google koi update karta hai to uska massage hame google search console me mil jata hai 

search console me website ko add/submit karna kyu jaroori hai?

google webmaster me website ko add karke ham apni site ko verify karte hai google me jisse hamara blog ya website google search engine me dikhai de jise hamara visitor badhe .kyuki agar aap internet use karte hai to aapko ye pata hi hoga ki jyadatar log kuch bhi search karne ke liye google ka hi use karte hai.to google search console ek google  ki hi service hai to hamari website  ko jaldi search engine me show karega.
jab ham new blog ya website banate hai blogger me to bahut sare problem ko face karna parta hai.to hame ye pata kaise chalega ki hamare blog pe kya problem hai?.to jab ham apne site ko google search console me add karte hai to hamare blog ka pura data hame google console me dikhai deta hai jisse ham apne blog ke problem ko solve karte hai.simple bhasha me kahne ka matlab hua ki ye hamare blog ka tools hota jise ham apne site ko manage karte hai.
for example:-


  • agar hamare website pe koi problem hoti hai jisse hamari website search engine me nahi show karta hai to ise hame pata chal jata hai.
  • search console se ham ye bhi setting kar sakte hai ki ham apne site ka kon sa post dikhna hai aur kon sachhupan hai.
  • google me kon sa keyword search karke visitor hamare site par aate hai.
  • iska sabse basa fayada hai ki hamara website search engine me jaldi aane lagta hai.



google search console me apne website ko kaise add/submit kare step by step

to chaliye kaise ham aapni website ko google search engine me kaise add karte hai.

Step.1:-

sabse pahle to aapko apna account banana hai  ye bahoot hi aasan hai kyuki ye google ki hi service hai .google search console me account banane ke liye aap search console ki site par jaye 
A):-www.Google.com/webmasters par clik kare .

B).:-ab sign in to search console par clik kare.clik karne ke bad ek naya page khulega.


search console ki site par login kare

C):-ab apna gmail id and password se login kijiye .ab aapka account google webmaster me ban gaya hai.ab apne website ko  webmaster tools me verify karna hai jise ham google me apne site ko add karna kahte hai.


webmaster tools me apna password dale


Step.2:-

apne gmail id se login karne ke bad ek naya page khulega jisme  apne website ya blog  ka address dale uske bad add property ki button par clik kare.


search console me blog ka adress dale




Step.3:-

add property ki button par clik karne  ke bad  ek naya page khulega iss page me hame apne site ko verify karna hai.aap niche mere screenshot me dekh sakte hai  .aap koi bhi tarika se verfy kar sakte hai lekin mai suggest karunga ki aap alternet method par clik kare


webmaster tools ke code ko copy kare

A).alternet method par clik kare.

B).ab aap html tags select karke  apna verification code ko copy kar le.ab yahi code ko apne blogger ke template me add karna hai verification ke liye.

  C).code ko blogger me verification ke bad verify ki button par clik kare




google verification code ko blogger template me kaise add kare?


jo code aapne copy kiya tha usko template me add karna hai .sabse pahle aap apne blogger me login karke apne blog ke dashboard me jaye  uske bad apne blog ke template buton par clik karke edit html ki button par clik kare.
 website template ko edit kare



A).apne template me clik karke <head> search kare( CTRL+F )dabakar .

B).<head> search karne ke bad apne google search console ke verification code ko head ke niche paste kar de uske bad template ko save kar de .uske bad code ko  search console  verify kare
head ke niche search console ke code ko paste kare



jab aap ka site verify ho jayega to ek message ayega.
ab aap apne search console ke home page par jaye waha par aap dekhenge ki aap ka site verify ho gaya hai

webmaster  home page

agar aapka koi aur blog ya website hai to aap add property button par clik karke usko verify kar sakte hai.





to friend aap jan jaye honge ki ham apni website ko google search console me kaise add kiya jata hai aur ye hamare seo ke liye kitna jaroori hai aur iska kya fayada hai.


agar apki koi problem ho to aap hamare comment box me puch sakte hai.agar aapko hamara post pasand helpful laga to ise apne dosto ke sath share  karna na bhoole.


aapko ye post bhi padhna chahiye:--

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :