last modified: Wednesday 8 March 2017

free hindi support

BLACK HAT SEO AND WHITE HAT SEO KYA HOTA HAI-( SEO TIPS IN HINDI)

hello dosto aaj mai is artical me batauga ki black hat and white hat seo  kya hota hai ?.to chaliye jante hai ki ye  ye seo kaya chiz hai .ham apne blog ka seo do trah se kar sakte hai jisse ham search engine optimization technique kahte hai  ye do trah ka hota hai 1.black hat seo .2. white hat seo


black hat seo and white hat seo kya hota hai?


to dosto  itne mehanat karke ham apni post likhte hai  aur ham yahi chahte hai ki log hamari post ko padhe  agar wo post logo tak na pahaunche to hamari mehanat bekar jayegi  aur hame nirasha hath lagegi.kyuki agr aap paise kamanane ke liye blog ya website banaya hai to aap yahi chahege ki aapke blog pe adhik se adhik visitor aaye kyuki jab tak visitor nahi aayange to aapki kamai kaise hogi ?.isiliye hamare blog ko search engine me optimize hona bahut jaroori hai 


to ab hamari blog pe visitor kaise aayange? .aap jante honge  ki kisi bhi cheeze ko search karne ke lie log apna question google me search karrte hai kyuki koi bhi aadmi proper aapka website ka name nahi jan raha hota hai ! yani kahne ka matlab ye hua ki hamara  80% visitor hoga wo search engine se hi aayega .to hame kuch aise karne ki jaroorat hogi jisse hamara website bhi search engine me dikhai de tabhi to hamare website pe log clik karange aur hamari visitor badhegi .


seo kya hota hai?



seo kya hota hai
seo kya hota hai

sabse pahle ham jante hai ki ye seo kya hota hai? to  dosto seo hota hai apne blog post ko search engine ke hisab se set karna.seo ka pura matlab hota hai search engine optimization  matlab agar koi bhi hamare blog se related koi bhi sawal type kare google me to hamara website search engine me search ho yani show kare.




aap jab bhi koi word search karte hai google pe to aap dekhte honge ki  google ke first page par kuch result show karta hai  aur kuch result dusre page par . jo pahle page par aap kuch website ko dekhte hai usme se kuch  website hote hai jo sabse upar hote hai ,kuchh usse niche  hote hai .matlab kuch ek number par kuch dusre number par isi trah sre website hote hai .to ye sare site search engine ke hisab se optimized kiye huye hote hai. to isi trah ham bhi apne   post ko search engine ke hisab se optimized karte hai.post ko ham do tarike se search engine me optimized  karte hai.


  1. black hat seo
  2. white hat seo

1#-black hat seo kya hota hai


to ab ham jante hai ki ye black hat seo kya hai . to isko sidhe sabdo me kah sakte hai ki ye shortcut tarika hai post ko search engine me lane ka jo yani kahne ka matlab hai ki jo bhi ham karte hai black hat seo me wo sare search engine ke niyamo (rules ) ke virudh karte hai. jo hame nahi karna hai.kyuki safalta pane ka shortcut tarika suruat me to aasan hota hai lekin bad me bahut dikkat hota hai aur bad me hamara website ,google penalize kar deta hai kyuki ham google yani search engine ke virudh chalte hai! 


black hat seo me ham karte hai
  • kisi dusre website ka content copy karna.(copyright content dalna)                                                                 
  • keyword ka jayada use karna apne post me:--    khabhi khabhi  blogger ye sochte hai ki ham apne keyword ko agar jayada bar use karange aapne post me to ,keyword ki wajah se hamara blog jaldi search me aa jayega.to aisa hota nahi hai kyuki adhik keyword use karne  se hamri website google penalize kar dega.to ye tarika na aapnaye seo ke lie. use perfect rule se search engine me optimize kare                                                           
  • kisi bhi post ko do bar publish karna.:--             khabhi khabhi blogger ye sochte hai ki ek hi post ko agar ham do bar publish karange to koi na koi post to  search engine index kar hi lega aur hamara website search engine me aane lagega to ye sochana bilkul galat hai .kyuki search engine ke pass eisa software hota hai jo turant verify kar lega ki aapne ek hi post ko do bar publish kia hai aur aapki website ko ban kar dega.ye galat tarika hai apne website ko seo karne ka  .


2#:-white hat seo kya hota hai?

aapne pahala tarika to jan lia yani black hat seo kya hota hai  aur isse kya fayada hai aur kya nuksan hai ye to aapne jan lia hai .ab ham dusra rarika  janenge website ko seo karne ka yani ki white hat seo kjya hota hai?.


white hat seo me ham simple bhasha me kah sakte hai ki ham jo bhi karte hai wo search engine ke hisab se karte hai ,matlab search engine ke jo niyam hota hai ham uske hisab se chalte hai . 

# to aayeye dekhte hai ki black hat seo me ham kya kya karte hai



  • meta tag add kare apne blog me.
  • copyright content na use kare aapne blog me:--kahne ka matlab ye hai ki kisi ke website se koi content ko copy karke aapne website par publish na kare.kyuki agar aapne kisi website se  content copy karke apne blog me publish karte hai to search engine ka software scan karte time  aapka content duplicate milega aur aapka site ban kar dega .to ye tarika khabhi use na kare seo ke lie.
  • quality content ad kare aapne blog me.
  • search decreption add kare apne blog post me.
  • search console me add kare apne blog ko.
  • google analytic add kare apne blog me.



to dosto apko mera ye post kaisa laga .mujhe lagta hai ki aap jan gaye honge ki black hat seo  and white hat seo kya hota hai ?.agar aapka koi question hai to aap hamare comment box me puchh sakte hai .agar aapko ye post achha laga to sare karna na bhule.


free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

2 comments

Write comments
Unknown
AUTHOR
29 June 2016 at 00:04 delete

nice blog.SEO is a strategy which is implemented in order to rank and get your site in better position in best search Engine..magazine

Reply
avatar