last modified: Saturday 22 January 2022

free hindi support

BLOGGER ME LABELS KAISE ADD KARE POST CATEGORY KE LIYE

hello friend aaj ham aapko batayange ki blogger me labels kaise add kiya jata hai blog category ke liye.  hamne blog to   banana sikh liya hai ki kaise banaya jata hai aur ye kitna aasan hai isko use karna .jab ham ham apna post dalte hai blogger par to wo post alag alag category  ke hote hai to use alag alag uske category ke hisab se alag alag karte hai  jisse blogger labels kahte hai taki visitor ko aasani ho hamare blog ke post ko padhne me.blogger me ye aasani se kar sakte hai  labels add karke . 


blogger me labels kya hota hai


labels hota  hai apne blog ke post ko category ke hisab se set karne ke liye blogger me ye labels ke name se jante hai aur wordpress me blog tag ke name se  .jaisa maine upar bataya hai ki ham labels ki madad se  apne blog ke post ko category me dall sakte hai jisse  hamare visitor ko padhne me subidha ho.  jaise man liya aapke blog pe aapne post kiya hai ,poem ,story,jokes ,to aap apne harek post ko uske category me rakh sakte hai .jaise man liya koi visitor hamare site par aaya jokes padhne ke liye to wo hamare "jocks "wale labels par clik karega to hamare blog par jitne bhi post honge jocks wale ya usse related wo ssare post visitor padh payega  .kyuki  koi bhi visitor aapke blog par koi khas maksad se aata hai agar wo sare maksad poora ho jayega ek hi jagah  to wo dubara aapke blog par aayega.yani kahne ka matlab ye hua ki aapke post agar category me hoga to visitor ko padhne me aasani hogi blog me blogger levels add karne se aur ye bahut jaroori hai.  to aap jan gaye honge ki labels kya hota hai blogger me  aur iska kya use hai blog me.ab ham dekhte hai ki labels ko kaise add kare apne blog me post category ke liye .

also read:-

>


labels kaise add kare apni  post ke liye


labels  ko aapne blogger me add karne ke liye sabse pahle aapko apne blog post editor me jana parega kyuki blogger me lable ham apne post editor me hi add karte hai  .sabse pahle aap apne blog ke login karke  aap apne blog ke dash board me jaye uske bad.new post button par clik kare.



  1. apne dashboard me jakar new post button par clik karke aapne post editor me jaye  jaisa ki niche mere screenshot me dekh sakte hai.                                                                                          
    blogger labels for post category
  2. post editor me jane ke bad aap dekhenge ki aapke  post editor ke right side ke upar  me labels ka button hoga uspar clik kare .   
    labels kaise add kare
  3. labels ki button par clik karne ke bad ek box khuleha usi box me aap apne post se related labels add  kar sakte hai.                   
    blogger labels post ke liye
          
  4. jaise for example:- aap post likh rahe hai 'poem' ke bare me aur aap ye chahte hai ki yahi post poem me jocks me sms me aur story me bhi  dikhai de ya show kare to aap apne labels me poem,jocks,sms and story ka labels dal sakte hai.aur har labels ke bad comma(,) jaroor de .                                                                      note:-aapko labels ka name ek hi bar dena hoga fir jab aap koi dusra post likhenge to wo sarre labels aapko dikhai denge fir aap uspar clik karke add kar sakte hai post me. jaisa mere screenshot me dekh sakte hai.                                                        
    post category ke liye labels kaise banaye

kitne labels bana skte hai apne blog me aur ek post me kitne add kar sakte hai?


ham aapne blog me jitna bhi  chahe labels add kar sakte  hai  par dhayan rahe aap apne blog me aise labels ko add kare jiska koi matlab ho bekar ke  labels ko blog me add na kare kyuki agar visitor aapke blog pe aaye agar kisi labels par clik karega aur usme post nahi milega usse related to visitor ka bharosa aapke blog se uth jayega aur aapke blog par wo dubara nahi aayega.aur waise bhi jab jayada labels aapke blog me hoga to visitor ko khojane me paresani hogi .

aap apne har post me kam se kam 15 se 20 labels add kar sakte hai.magar mai to khaunga ki  jitna ho sake kam se kam labels hi use kare post me  mera suggestion  ye hai ki harek post me three labels hi use kare aapne post me. 


 labels ka widget add kare apne blog me


blog me labels tabhi dikhega jab aap apne blog me lable ka widget add karenge .agar aap koi custom template add kiya hai apne blog me to aapko apne labels ka widget add karna hoga jaha aap apne blog ke show karna chahte hai ya dikhana chahte hai. to chaliye dekhte hai ki labels ka widget kaise add kare details me.

also read:-


sabse pahle aap apne blog ke dashboard me jaye  dashboard me jane ke bad aap apne layout  par clik kare.layout par clik karne ke bad aapke blog ka pura layout dikhai dega waha par aap jaha chahte hai ki aapka labels dikhai de (jayadatar ham  blog ke side bar me hi add karte hai  labels ko ) waha ke add a gadget  ki button par clik kare .

  1. ab aapke samne ek new page khulega usme se aap labels ke upar clik kare . 
  2. labels ke upar clik karte hi ek next screen par apne labels ki setting kare jaisa aap dikhana chahte hai.


sari setting karne ke bad aap apne blog ko khol kar dekhe, aap dekhenge ki aapne jaha labels ka widget add kiya tha waha par aapka  labels dikhai de raha hai.




labels ka link (url) kaise pata kare


labels ka link ya uska url pata karne ke liye aapko apne blog ke labels par clik karna hoga .matlab aap jis labels ka link pata karna chahte hai ,jaise aapko ' jocks ' labels ka link pata karna hai to aap jocks wale labels par clik kare .

                     https://Blog-Ka-Naam.blogspot.com/search/label/Label-ka-Naam


ab aap apne browser ke adress bar me dekhe usme jo link hoga wohi aapke labels ka link hoga.aap chahe to ye link ko apne  main menu me add kar sakte hai jise visitor ko aasani ho padhne me.kyuki visitor aapke main menu ko jayada  focus karta hai.

to aaplog samagh gaye honge ki blogger labels kaise add kare post category ke liye ya labels kaise add karte hai apne blog me.


agar aapka koi sawal hai ya fir aapko labels add karne me koi paresani ho  to aap hamare comment box me puchh sakte hai .agar aapko hamara post achha laga to share karna na bhoole .






free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

1 comments:

Write comments
Blog27999
AUTHOR
13 March 2020 at 04:00 delete

Your Affiliate Money Making Machine is ready -

Plus, getting it running is as easy as 1--2--3!

It's super easy how it works...

STEP 1. Tell the system which affiliate products the system will push
STEP 2. Add PUSH BUTTON TRAFFIC (it ONLY takes 2 minutes)
STEP 3. See how the system grow your list and sell your affiliate products all on it's own!

Are you ready to make money ONLINE??

You can test-drive the system for yourself risk free...

Reply
avatar