last modified: Friday 24 March 2017

free hindi support

New Email account kaise banaye google Gmail par puri jankari hindi me

Hello dosto mai iss article me bataunga ki new email account kaise banaye gmail par.agar aap internet use karte hai to aapko pata hi hoga ki aajkal sabhi cheese online ho rahi hai aise me bahut se jagaho par aapko email id ki yani account ki jaroorat hogi .duniya me daily lakho log apni email id banate hai.aise to bahut sare company hai jaha par ham apna e-mail ID bana sakte hai. Email id se ham dusre ko message send kar sakte hai dusre ki id par.isko banana koi muskil kam nahi hai.agar apke pas e-mail account nahi hai to aaap hamare bataye huye steps ko follow kare.

new email account kaise banaye gmail par

Email-id (account) kya hai?

Email-id ek trah ka electronic mail hota hai  yani ki ek letter ya chhithi hota hai  jisse ham internet ke madhayam se dusre email address par send karte hai.Jis trah se pahle ek letter kam karta tha thik usi trah aaj email hota hai .pahle letter post ke through bheja jata tha lekin ab wohi cheese internet ke through bheja jata hai. Email id me ek user name hota hai aur ek wo wbsite name hota hai jispar ham account banate hai for example;-mohan123@gmail.com yaha  acroding to example mohan123 hamara username hai aur gmail.com wo website hai jaha par hamne apna account banaya hai .

G-mail account kya hai?


Gmail account ka matlab hota hai google-mail-account.jo email id ham mail ko receive ya send karne ke   liye ham banate hai wo gmail par banate  hai ye google ki service hai jo bilkul free hota hai.jaisa ki maine  upar  bataya hai ki aise bahut sare company  hai jispe ham email account banate hai jaise yahoo ,Microsoft,rediffmail,hotmail,.




Email id kaise banaye step by step


Jaisa ki maise upar bataya hai ki email id ek virtual id hoti hai.jise ham email account kahte hai.

Step.1:-

Email id ya email account banake sabse pahle aap www.gmail .com ki site par jaye

Step.2:-


create account ki button par clik kare




Ab appke samne ek new page kulega usme create account ki button par clik kare

Step.3:-

 Ab aapke samne ek form aayega jisme aapko apna pura address fill up karke submit karna hai.




email id banane ke liye puri details bhare


1. Name:--isme aapko apna first name aur last name bharna hai jaise raju kumar.

2. Choose your user name:--isme aapko apna username bharna hai aap koi bhi user name chun sakte hai for example –raju agar raju kisi ka user name hoga to aapko raju change karke dusra username bharna hoga jaise raju1234 etc



3.  Create a password :--isme aapko apna password fill up karna hai aap job hi password rakhna chahte hai.



4.Conform password:--isme aapko apna password conform karna  haimatlab jo password aapne upar dala hai wohi password  yaha dale.

5. Birthday:--is option me aap apna birth date fill up karna hai jaise date,month ,year, etc.

6.Gender:--isme aap apna gender select kare male ya female .

7. Mobile phone:--apna mobile number dale.

8. Your current email-address:--isme apko apna current email address dale agar aapke pas hai agar nahi hai to rahne de.

9.prove you are not a robot:--iss option par aap tick kar de jaisa aap  mere screen shot me dekh sakte hai.

10. Location:--isme aap apna location select kijiye ki aap kis country ke hai .

11. Term and condition:--term and condition par tik þ  kare.

12.   Next step ki button par clik kare.

      Step.4:--



email ke liye phone number verify kare

next step par clik karne ke bad .ek naya page khulega jisme aapko apna phone number verify karna hai.verify karke google ye pata karta hai ki jo email id aapne  banaya hai wo aap hi ka hai .kahne ka matlab  ye hai ki google ye confirm ho leta hai ki aapne jo account banaya uske malik aap hai bina mobile number verify kiye aap apna email account nahi bana sakte hai.iss option me apna mobile phone number diye huye box me dalkar continue ki button par clik karna hai

step.5:--


email account verify kare



continue ki button par clik karte hi   aapke phone me ek message aayega jisme google ne aapko ek six digit ka code  send kiya hoga us code ko upar diye huye box me dal ke continue ki button par clik  kare .ab aapka gmail account yani email id  banker taiyar hai ab aapke pas aapka khud ka email id hoga.


 Gmail account me login kare


Ab aap apna email message chek kar sakte hai uske liye  uske liye aap dubara www.gmail.com par jaye waha apne email  id aur password dal ke login kare .ab aap apne inbox par clik kare jaha google ne aapko three email send kiya hoga .



Agar aap kisi ko email send karna ho to compose option par clik karke send kar sakte hai. Jo bhi message aayega wo aapke inbox me rahega .

Aapne jana ki new email account (id) kaise banaye google gmail par.aapko mera ye post kaisa laga comment karke jaroor bataye .agar aapka koi question hai to hamare comment box me puchh sakte hai aapki puri help ki jayegi.

Aapko ye post bhi padhni chahiye:--

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

2 comments

Write comments
2 June 2016 at 10:47 delete

बहुत खूब। इस प्रारम्भिक जानकारी पर अक्‍सर ब्‍लॉगर लिखना भूल जाते हैं। पर आपने बिल्‍कुल ठीक पकड़ा।

Reply
avatar
6 June 2016 at 01:00 delete

maine puri kosis ki hai thank uuu keep visiting

Reply
avatar