last modified: Friday 24 March 2017

free hindi support

Off page seo techniques list:website ki traffic ko badhane ke liye

Hello dosto blog banane ke bad aap usme kaphi mehanat karke apne blog me post dalte hai  .post karne ke bad aapka agla step hota hai ki ham apne blog ke post ke seo kaise kare uske liye ham search engine optimized content blog par dalte hai.
off page seo optimization list

apne blog post ke seo karne ke liye bahut sare seo tools aur technique istemal karte hai.usme se bahut si tools online hote hai aur bahut sare ham of line bhi karte hai jise ham off page seo optimization kahte hai .



dosto aaj ham is artical me janenge ki Off page seo technique ke bare me janenge ki ye kya hote hai aur ise kaise use karte hai puri details me janenge .

ham apne blog ka seo do trah se karte hai ek hota hai on page seo optimization aur dusra off page optimization .

on page optimization:-
on page seo me ham website ko online seo karte hai .jaise ham jab post likhte hai to use usi time search engine ke hisab se optimized karte hai.jaise post title ,meta description , image  ,or url ko optimized karke use publish kar dete hai.taki website ya blog search me aa sake .ise ho ham on page kahte hai.
  • off page optimization.

off page seo technique list website ki traffic ko badhane ke liye-off page seo kaise kare?


ye ek dusri prosses hai apne blog ki traffic ko increase karne ke liye jise off page kahte hai.

blog ke post ko publish karne ke bad  apne website ya blog par visitor ko lane ke liye ham jo bhi technique ka istemal karte hai wo sari prosses ko ham off page  seo optimization kahte hai.



to niche maine kuch aise seo technique list de raha hu jise aap seo kar sakte hai.

1#website ko socail media me submit kare.


socail media yani ki facebook ,twitter ,google+,me apne site ko share kare  .ye ek aisa ttechnique hai jiska use karke aap apne blog par visitor increase kar sakte hai.

dosto aap jante hai ki facebook ,google +ya twitter ek socail network website hai jispar lakho log daily visit karte hai .agar aap apne site ko facebook par share karenge to aapki site lakho logo tak pahuchenge jisse aapka visitor badhega.

to sabse pahle in socail media site par apna account banaye aur share kare jaise facebook page,ya face book group banaye aur apne site ko is page ya group me share kare .


2#web directory me submit kare.


apne website ko web directory me add kre .apne site ki category ke hisab se directory me submit kare ye ek bahut hi badhiya trik hai website ke visitor badhane ke liye.


web directory me add karne par blogger ko original backlink milti hai.internet par aapko bahut sari web directory hai jispe aap apne site ko submit kar sakte hai.

web directory site


3#blog par comment kar ke .

blog par comment karke bhi apne site ki traffic badha sakte hai.ye ek bahut hi achha off page seo optimization hai.jab bhi aap  kisi ke blog par artical padhe usme apna comment kare .wo comment us post se related honi chahiye aur thora lamba comment kare.

jab bhi aap kisi ke blog par comment karte hai to usme aapke blog ka link add ho jata hai .jab bhi koi visitor aapke comment kiye huye website par aata hai aur jab comment par apke comment par najar paregi to wo aapke blog par aa sakta hai.

aapka comment search engine ke hisab se bhi accha hota hai.isse aapki search raking increase hogi.

4#site ka video share kare.

apne website ka video share karke bhi site ki traffic badha sakte hai ye bhi ek accha tarika hai off page seo ka.

sabse pahle apne site ke bare me ek short video bana le  wo video  do ya teen minut lamba ho jisme apne website ki puri details ho us video me apne website ki link bhi dal de.ab aap us video ko youtube ,jaise vide website par upload kar de .jab bhi visitor youtube par apke video ko log dekhenge to uski madad se apke website par aayenge jisse apki visitor increase ho jayenge.

ye kuch video share site-


  • youtube.
  • daily motion.

5#fourm me post karke.

apne website ke traffic ko kisi bhi question answer fourom me post karke yani logo ke question ka answer deke bhi traffic la sakte hai.

fourm ek trah ka logo ki madad karne ke liye hota hai waha par aap pane question ka answer de sakte hai usse hoga ye ki jab bhi koi aapke diye huye answer ko dekhega to aapke website par aa sakta hai.kyuki jab aap logo ke sawalo ka jawab denge to waha par apke blog ka link bhi add ho jayega.

6#Guest posting kare

ye  ek bahut hi badhiya off page seo optimization technique hai jisse ap apne website ki traffic ko increase kar sakte hai.

guest posting ka matlab hai kisi dusre ke website par apna post ko publish karna.aise bahut sare website hai jaha par apne post ko publish kar sakte hai .ek aise website ko chune jiska search ranking jayada ho jaur jisme quality post jayada ho  aur jiski alexa rank kam ho .uske bad ek bahut hi acchi si post ko likh kar publish karde usme apne website ka link add karna na bhoole  isse apke website ka link banenga.

isse hoga ye ki jab koi visitor aapke guest posting website par aapke post ko padhega to usme aapke site ka link bhi show hoga jisse aapke website par aane ke  chance  badh sakta hai.

7#search engine par submit kare

apne blog ya site ko kuch popular search engine me apne site ke link ko submit kare kuch popular search engine jaise google , yahoo , bing etc.isse aapki site ki search ranking badhegi. 


8#photo sharing site par share kare.

photo sharing site me bhi apne site ko submit kare.photo sharing sit for example pixaby ,flikkar,instagram ,picasa jaise popular site par apna account banaye uske bad apne site ki photo ko upload kare photo ke sath apne site ki link bhi add karna na bhoole .jab koi us site par apke photo  se related koi photo search karega to usme aapki image bhi show hoga jisme aapka link bhi hoga jisse search karne wala apke website par visit kar sakta hai

dosto ye thi off pag seo technique list jisse aap apne website ki traffic ko increase kar sakte hai.agar aapko ye post acha lage to apne dosto ke sath share karna naa bhoole.koi kuch puchhna ho to hamare comment box me puch sakte hai.

Aapko ye post bhi padhni chahiye:-

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

4 comments

Write comments
Sri akshaya
AUTHOR
11 January 2017 at 23:49 delete This comment has been removed by a blog administrator.
avatar
jade
AUTHOR
16 May 2017 at 08:15 delete

This allows you to extend your online network of contacts, to connect and interact with your friends, to share things with each other, web design

Reply
avatar
Anonymous
AUTHOR
13 June 2017 at 23:41 delete

Thank you, You can check if youre looking for SEO tips SEO philippines

Reply
avatar
Online Money
AUTHOR
4 June 2021 at 12:56 delete

शुक्रिया दोस्त आपने off page के बारे में बहुत अच्छे से लिखा है. अलग सी बात है कि आपके ब्लॉग को गूगल अच्छा रैंक नहीं दे रहा है. आप इसी तरह लिखते रहिए.

Reply
avatar