last modified: Thursday 27 October 2016

free hindi support

Website ka seo kaise kare step by step poori jankari hindi me --beginers ke liye

hello friend aaj mai fir se hajir hu ek aartical lekar .is aartical me  mai bataunga ki apne website ka seo kaise kare step by step ye artical beginner ke liye hai jo new blog banate  magar seo ke bare me koi jankari nahi hota hai to use mai sari jankari ek hi jahah mil jayegi.

agar aapke pas ek blog hai ya fir koi website hai to uska seo bahut jaroori hai taki hamare website ki ranking acchi ho aur hamare website par visitor ki sankhaya me badhatori ho.


website ka seo kaise kare step by step

jab koi visitor google me kuchh search karta hai to aapko bahut sare result show hote hai usme se kuch  sabse upar hote hai kuchh niche hote hai.to ye sawal uthta hai ki ye upar niche kyu hota hao to iska answer hai ki us website ka complete seo hua hota hai.



to maine kuch aise seo tools ke bare maine bataya hai aap ise foollow kare .ye basic seo ka part hai.

website ka seo kaise kare step by step

blog ka seo karne ke liye  jo maine niche bataye hai use use kare.

#Long tail keyword use kare


website ka first step shuru hota apne post ke liye keyword selection seapne post ke liye ek long tail keyword  ko select karna.

 apne post ke content me hamesa longtail keyword ko hi use kare.long tail keyword kouse karne me hamare website jaldi search me aata hai.

jab bhi aap post content likh rahe hai to uske pahle apne topic se related  3 se 5 word ka longtail keyword sselect kar le.keyword select karne ke liye aise bahut sare tools mil jayenge but mai suggest karunga ki google keyword planner sabse best hai.


keyword select karne ke bad us keyword ko apne post title me ,apne post heading ,subheading me add kare.kyuki in point ko seach engine jayada value deta hai.

Meta tags add kare website me


website me meta tags add kare ye bhi hamare website ke seo ke liye bahut jaroori hota hai.

meta tags ek trah ka xml file hota hai jise ham apne website ke template  ke code me add karte hai 

meta tags code me aapke blog ya website ke bare me ek short information hota hai for example-aapka name ,country,blog ya website kis bare me hai,etc.
jab bhi search engine ka crawl hamare blog par aata hai to  search engine ka robot hamare meta tags ko dekh kar hi index karta hai.

Search description add kare.


apne website me search description add kare ye hamare post content ka sabse aham hissa hota hai.

jab bhi apne website ya blog ke liye content likhe to aap dekhenge ki right side me "search description" ka ek option hota hai isme aap apne post ke bare me short description de usme apne main keyword aur usse related keyword ko use kare

search console me website ko add kare.seo ke liye


aap apne website ko search console me add kare .search console google ki service hai jisse hamare website me huye problem ke bare puri jankari milti hai ki hamare website me kya problem hai .

ye hamare seo ke liye bhi bahut jaroori hai kyuki ye google ki service hai to jab ham apni site ko isme add karenge to google hamare site ko jaldi index karega jise hamre site ki ranking improve hogi.

Search analytics me site ko add kare.

search analytics me bhi apne website ko add kre .ye bhi google ki ek service hai jise ham apne website se related data ko dekkh sakte hai jaise aapke website par kitne log aate hai wo kaha se aarahe hai .

Permalink me main keyword use kare.

apne post ke permalink yani url me apne main keyword ko add kare.jo apka main keyword ho yani jis topic par aap post likh rahe ho.kyuki permalink sabse main part hota hai.permalink ke suru me apne main keyword ko ad kare.

Labels use kare.

apne site me label ya category ko use kare kyuki ye bhi search me jyada hilighted hota hai.


jab bhi aap post likh rahe ho to aap dekhenge ki post ke right side me label ka option hota hai usme apne post ke category ke hissab se label add kare.

social media par share kare .

socail media ke bare me aapko batane ki jaroorat nahi iske bare me to aap jante hi honge.aaj har koi socail media par bussy hota hai .jaise facebook ,twitter,linkdin,aise bahut sare socail network site hai jaha par apne website ko share kar sakte hai.

uske liye aapko socail media par account banana hoga aur yaha par apne dosto ke sath share kare.

jab website ko share karenge to aapka site lakho logo tak pahuchege is trah se aapko bahut sare traffic aur backlink mil jayenge


xml sitemap add kare apne website me



apne apne site  me sitemap add kare ye ek file hoti hai jo search engine ko batata hai ki hamare website par kitne post hai .isse fayada hoga ki jab bhi ham koi new post dalenge to search engine ko jaldi pata chal jayega aur hamara post jaldi index hoga.

to dosto aap jan jaye honge ki kaise ham apni website ka seo karte hai step by step.
hamara ye post aapko kaisa laga aap hame jaroor bataye .agar aapka koi question haito hamare post ke comment box me puch sakte hai

aapko ye post bhi padhni chahiye:--


free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

4 comments

Write comments
Unknown
AUTHOR
28 February 2017 at 06:59 delete

seo ki bahut acchi Jankari di aapne

Reply
avatar
30 March 2017 at 11:30 delete

thank u manish ji keep visiting

Reply
avatar
kisu solanki
AUTHOR
4 July 2017 at 03:03 delete This comment has been removed by a blog administrator.
avatar
Anonymous
AUTHOR
13 November 2017 at 04:40 delete

Bahot achi jankari share ki hai thanks
sender by www.makvanainfo.com

Reply
avatar